
Hazrat Rasool (S.A) irshad farmatay hian keh mah Ramzan ul Mobarak bohat hi bar barkat aur fazilat wala mahinah hai. Yeh sabar o shukar aur ibadat ka mahinah hai aur is mah mobarak ki ibadat ka sawab 70 darjah ata hota hai.
Jo koi anay parwar digar ki ibadat karkay is ki khusnodi hasil karay ga. Is ki bohat bari jaza khuda wand tala ata farmaye ga.
Mah Ramzan ul Mobark ki pehli shab baad namaz isha aik martabah surah fatah parhna bohat afzal hai.
Quran o Hadees mein Ramza ul Mobarak kay bay inteha fazail biyan kiye gaye hain aur is kay sath hi sath ahkamaat bhi diye gaye hain. Is mah mobarak ko teen Hisson mein taqseem kia gia hai yani is ka pehla ashrah Rehmat aur dusra Barkat aur teesra aakhri ashrah Nejaat aatish jehannam hai.
Is mah moqaddas mein Quran majeed ka nazul shuru hua. Is mah e Mobarak mein lailatul qadr bhi aati hai jis ka zikar Quran mein Suraht ul Qadar mein aaya hai. Is mah mobarak mein Hazura (S.A) nay kayi jangain bhi jitin hain aur is kay elawah bay panah fazilat hai. Allah hum sab ko is mah e Mobarak ki rahmaton aur barkaton say faizyaab honay ki sayadat ata marfaye Ameen.
Sehar-o-Iftar Ki Dua

Ramzan ul Mubarak Ki Duaen

1st Ashra (Dua For 1st 10 days)
Ya Hayyu ya Qayyumu Birahmatika Astagees.
2nd Ashra (Dua For 2nd 10 days)
Astagfurullaha Rab-bi Min Kulli. Zambiyon Wa-toobuilaiyh
3rd Ashra (Dua For 3rd 10 days)
Allahummah Ajairni Minan Raar.
Hazrt mohammad s w s w ny frmai k jo saks ramzan k rozy paa leta hy to wo kus kismt insan hota he
gooooooooooooooooooood topic